beh gaya tha jaise paani
Yaaron, woh sachche veer the,
samar ne li jinki qurbani,...
Mit gaye inqlaab ki chinghari jala kar
to kuchh ne woh shama thaami...
Kheench laayi aandhi kranti kee
Aawara badal wo inqlaab ka
Har gali har kooche se goonja tha inqlaab
Vande maatram aur jai hind ki thi lalkaar
Badh chale wo do kadam
Karne kranti ka yalgaar
Mil gayin jo panchon ungliyan
kaanp utha dusshashan
Khaded diya firangi ko
Maa ka aanchal fir se tha bedaag....
Karta sheesh nava kar naman unka
jo jhuke na, kat gaye, par haar na mani
Hai saugandh, ye balidaan na bhulaunga
Bharat mata ki jay kehta, yeh mashal liye, badhta chala jaunga
Maa ki charan raj se,
apna shheesh sajaunga
Bharat mata ki garima mein,
nit naye aayam badhaunga
Jai hind
15-08-2010||||26-01-2011
No comments:
Post a Comment