Aazaad hoon main
kyunki ye soch sakta hoon
Kitne hii bandhan hon man ki deevaron ke
tod sakta hoon,
Ye kar lo achchha hai
Isse bachna yeh buraa
Koi rok nahin sakta,
naa hii kisi ki niyati churaa
Bhagya aur karm,
main naheen jaanta mera kaun prabal
Janmjat hi tha aatmavishwas
Ati bhee keh lo, par yehi hal
Unmukt itna utaavla
Aur man mein itni umang
Bhawnaaon ki nadiyaan aur nirjhar
sang vicharon ka samar
Ek poornaviraam ko na ismein koi sthaan
Mrityuparyant, hridayaspandan sa, rahega yeh gatimaan....
kyunki ye soch sakta hoon
Kitne hii bandhan hon man ki deevaron ke
tod sakta hoon,
Ye kar lo achchha hai
Isse bachna yeh buraa
Koi rok nahin sakta,
naa hii kisi ki niyati churaa
Bhagya aur karm,
main naheen jaanta mera kaun prabal
Janmjat hi tha aatmavishwas
Ati bhee keh lo, par yehi hal
Unmukt itna utaavla
Aur man mein itni umang
Bhawnaaon ki nadiyaan aur nirjhar
sang vicharon ka samar
Ek poornaviraam ko na ismein koi sthaan
Mrityuparyant, hridayaspandan sa, rahega yeh gatimaan....
No comments:
Post a Comment