Na aashayein na ummeedein thi ,haan kuchh aise bhi the!
Shayad unhein inke maayne hi malum na the,
Gole ke upar se poonchh 6, niche se 9 aur gole pe gola 8
Woh kyu buujhte.
Laddu to bina gine bhi
Meethey hi lagne the.
Man beman jaise bhi ho,
Woh dhakele chahe kheenche laaye hon,
Kisi anjane se dar aur kautuhal ke sath,
Yunki badhna to har kisi ka haq hota hai.
Dikhe to kai hath the
uthte huye, aur aawazein.
Par jo aa pahunche,
Wo haqiqat wale kuch kam janai pade.
Kehne ko to har koi chahta ki wo padhein aur agey badhein,
Ki, ek nanha sa diya
Behtar tha andhere se
Behtar tha andhere se
Ye jaan kar bhi jaane kyun, alakh na jaagi unke dilon mein...!
April 2011
No comments:
Post a Comment